09 February, 2013

Do Right Under Pressure

By: Faisal Anas

  Kya ho agar aap ka bhai kisi bade competition me first ajaye, pure village aur puri family me khishi ka mahoul ho, har ek nachta jhoomta ho aur achanak apko chot lag jaye?

   Kabhi kabhi insan ko aisi situation ka samna karna padta he jab khushi me achanak gham ka sa mahoul ho jata he, ab bekhye na, sab khushi mana rahe hain aur apko chot lagi hui he, ab apko kaisa lag raha hoga? ap sochengey k mai waha gaya/gayi hu q? na wahan jana hota aur na chot lat lagti aur na hi yahan majboor hokar baithna padta, lekin aap yeh to sochen k jo hona tha woh to ho chuka, chot lagni thi lag chuki, ap afsos karne se kya fayda?  bas apko to yeh sochna he ayendah aisa na ho.

   Magar yeh to choti problem thi, kabhi kabhi is se bada accident ho jata he, mai ne ek news padhi thi k ek ladki apna MBBS ka result lekar ghar ja rahi thi aur raste me accident ho gaya, finally uski death ho gayi, kai bar ham news me padhte aur sunte hian k barat ja rahi thi aur accident ho gaya, kai logon k sath dulha dulhan bhi khatam ho gaye, actually yeh sab hamari zindagi ka hissa hain, ham puri zindagi khush nahi rah sakte, agar ham chahen to bhi, koi dunya ki sari doulat sirf is bat pe kharch kar de k woh zindagi khush rahega to yeh uski be waqoofi hogi, aisa ho hi nahi sakta, upar wale ne har chiz ko jode me paida kiya he, zindagi he to mout bhi he, doulat he to ghurbat bhi he, kala he to gora bhi he, bimari he to dawa bhi he isi tarah agar khushi he to gham bhi he, aur yeh sab ho k rahta he, zindagi me utar chadhaw ate hain, kabhi bata kar aur kabhi achanak, insan ko hamesha in sab k liye tay yar rahna chahiye, aur agar aise halat ajayen to ghabrane k bajaye, afsos karne k bajaye, kisi ko dosh dene k bajaye, fouran uski wajah maloom karni chahiye, aur age se aisa na ho uska sochna chahiye aur is bad condition me apne apko sambhal kar rakhna chahiye aur himmat nahi harni chahiye. is moqe par khud ko sambhalna hi bahut badi baat hoti he, warna agar ek bar himmat toot jati he aur kisi kam se dil uth jata he to fir dobara usme lagna bahut mushkil hota he. zara sochye k agar kisi k naye bane hue ghar me aag lag jaye, ya apne ghar banaya aur zalzala ajaye to kya hoga? zara si der me sab kuch tabah o barbad, sari zindagi ki kamayi mitti me mil jati he, lekin iska matlab yeh naho hota himmat har jaye ya suicide kar le, bal k aise waqt me himmat se kam lena chahiye, apne apko sambhalna chahiye, aur dobara se mehnat karni chahiye. isliye k himmat har jane se makan dobara to nahi mil jata, han agar ap mehnat karengey, aur koshish karengey to makan apko dobara mil sakta he. apne suna hoga k student ne exam me fail hone ki wajah se suicide kar liya,  zara aap batayen k suicide kisi problem ka solution he kya? kya suicide karne problem solve ho jati he, suicide hamesha wohi log karte hain jin me jine ki himmat nahi hoti, dil weak hota he, pressure me faisal lene ki taqat nahi hoti, aur yeh bahut danger illness he jo hamari community ko khaye ja rahi he, suicude karne zara yeh soch len k mai abhi nahi 1 ghante k bad suicide karunga aur baith kar soche k agar maine suicide kar bhi liya to kya mera kam ban jayega? kya jo mai hasil karna chahta hun woh hasil ho jayega? kya is se ksis aur ko pareshani nahi hogi? aur han agar mai suicide nahi karta hun aur fir se mehnat karta hun aur pass ho jata huhn kitna bada fayda hoga? ek saal hi to barbad ho raha he magar is step se puri zindagi bach rahi he, kitne logo ko pareshani se nijat mil jayegi aur na jane kitni khushiyan gham me badalne se bach jayengi.
   Actually hamara mind he jo in sab ka zimmedar he, jab achanak hamare sath kuch bura ho jaye to do minute k liye ham shocked ho jate hian, yaqini baat he, har ek hota he, magar is k bad jo apne mind par control rakhta he woh situation ko samajh kar apne according decision leta he. aur pressure me sahi decision lena hi asal kamyabi ka raaz he, agar yunhi sab suicide karne lag jayen to dunya kaise developed hogi? aur kaise kisi ki problem solve hogi?

FAISAL ANAS

No comments: