Sardi ka mousam kise pasand nahi? jab yeh mosam ata he to mai bahut khush hota hun q k mujhe bhi yeh mosam bahut pasand he. Subah subah jab ankh khulti he aur apne aapko naram garam aur mulayam blanket me pata hun to mano dunya ki sari lazzat aur sara sukoon hasil ho jata he. Sardi ma mosam ek alag maza lekar aata he. Is mosam me subah subah after sunrise jab ham dhoop senk ne nikal te hain aur hamari thanki skin par dhoop padti he to bahut maza ata he. phir jab garden me jate hain aur taza khili huye, chamakdar, khoobsoorat, chamkile aur ache flowers pa hamari nazar padti he to ankhon aur dil ko ek alag hi maza milta he aur thodi der k liye sari tension door ho jati he aur ham relief feel kar te hain, Yeh sab upar wale ka shukr he jis ne hame bilkul msahi banaya aur hamare liye ache ache weathers banaye taki ham sab ki importance ko samajh saken,
Lekin kya ham ne kabhgi socha h k jitna maza ham utha te hian, sabhi sardi me utna hi maza kar te hongey? kya sab k pas raat ko odhne k liye balankets hian? leave blankets, kya sab k pas raat spend kar ne k liye chhat hain? leave roofs, kya sab k pas pet bharne k liye khana he? NAHI!!!! Q nahi??? iska jawab sab k pas he lekin iske kon kon qadam uthata he? iska jawab shayad bahut kam logon k pas he.
Jab bhi hame koi takleef hoti he ham without any late uska solution talash karte hain, agar kisi se shikayat se ho usko kehte hain, agar problem paison se door hoti he to ham money spend kar te hain, yahan tak k agar abni problem solve kar wane k liye protest aur dharna pradarshan k zarurat padti he to ham woh bhi karte hain, phir ham vehicles ko rokte hain, tayers jalate hain, shops and markets band kar wa te hain, railway ko disturb kar te hain, fir chahe, log shaopping na kar payen, chahe bache school na ja paye, chahe patients hospital na japaye, lekin ham yeh sab karte hain, taki hamari b aat mani jaye aur hamari problem solve ho jaye aur hamari pareshani door jaye.
well ham yeh sab karte hain q k hamare pas paisa he, taqat he, approcah he, majority he, lekin unka kya jo abni bhook ko door karne k liye bho protest nahi sakte? jo apni baat manwane k liye anshan nahi kar sakte? jo agar dharna dete hain to poloce k dande baraste hain, agar bada andolan kar te hain ko jail jate hain, jin ka koi sunne wala nahi he, agar raat ko kisi bhi bade shahar ( city) me walk k liye nikal jayen to apko hazaroz log footpath par, pakon me, rikshon sote hue mil jayengey, kya unka haq nahi h k woh bhi naram garam balnket me soyen? kya woh insaan nahi he? reservation k liye to protest kar sakte hain, apni party ko electoin me victory dila k liye to protest kar sakte hain, lekin un becharon k liye nahi kar sakte jinko raat ki thandak ki wajah se nahi bal ki pet ki bhhok ki wajah se hi neend nahi ati he. ji han, woh log jo din bhar kaam karte hain aur shaam ko apni mazdoori k liye line lagate hain. jo rikshaw chala kar logon ko manzil tak pahunchate hain lekin kiraya lene k liye daant khate hain jaise k bheek mang rahe hon. Akhir kab unki zindagi sudhregi?
FAISAL ANAS

1 comment:
comments are needed here plz
Post a Comment