YE ANSU BE SABAB JARI NAHI HIA
MUJHE RONE KI BIMARI NAHI HAI
NA PUCHO ZAKHM HA E DIL KA ALAM
CHAMAN ME AISI GULKARI NAHI HAI
BAHUT DUSHWAR SAMJHANA HAI GHAM KA
SAMAJH LENE ME DUSHWARI NAHI HAI
GHAZAL HI GUNGUNANE DO K MUJKO
MIZAJ E TALKH GUFTARI NAHI HAI
CHAMAN ME KYUN CHALUN KANTON SE BACHKAR
YE AIN E WAFADARI NAHI HAI
WOH AYEN QATL KO JIS ROZ CHAHEN
YAHAN KIS ROZ TAYYARI NAHI HAI
( poet: kalim ajiz)
MOHD FAISAL ANAS
MUJHE RONE KI BIMARI NAHI HAI
NA PUCHO ZAKHM HA E DIL KA ALAM
CHAMAN ME AISI GULKARI NAHI HAI
BAHUT DUSHWAR SAMJHANA HAI GHAM KA
SAMAJH LENE ME DUSHWARI NAHI HAI
GHAZAL HI GUNGUNANE DO K MUJKO
MIZAJ E TALKH GUFTARI NAHI HAI
CHAMAN ME KYUN CHALUN KANTON SE BACHKAR
YE AIN E WAFADARI NAHI HAI
WOH AYEN QATL KO JIS ROZ CHAHEN
YAHAN KIS ROZ TAYYARI NAHI HAI
( poet: kalim ajiz)
MOHD FAISAL ANAS
4 comments:
http://ghalibayaz.wordpress.com/category/ilhaami-aayaat/kalim-ajiz/
zaalim thaa vo aur zulm kii aadat bhii bahut thii
majabuur the ham us se muhabbat bhii bahut thii
us but ke sitam sah ke dikhaa hii diyaa ham ne
go apanii tabiyat me.n baGaavat bhii bahut thii
vaaqif hii na thaa ramz-e-muhabbat se vo varnaa
dil ke liye tho.Dii sii inaayat bhii bahut thii
yuu.N hii nahii.n mashhuur-e-zamaanaa meraa qaatil
us shaKhs ko is fan me.n mahaarat bhii bahut thii
kyaa daur-e-Gazal thaa ke lahuu dil me.n bahut thaa
aur dil ko lahuu karane kii fursat bhii bahut thii
har shaam sunaate the hasiino.n ko Gazal ham
jab maal bahut thaa to saKhaavat bhii bahut thii
bulavaa ke ham 'Ajiz' ko pashemaa.N bhii bahut hai.n
kyaa kiijiye kam_baKht kii shoharat bhii bahut thii
niceeeeeeee
niceeeeeeeeeee
Post a Comment