HAZRAT MOULANA HIFZURRAHMAN NADWI JAMEA TUL HIDAYA KE EK QABIL USTAZ HAIN. ARABI ADAB AUR INSHA ME UNKO KHAS MAQAM HASIL HE. UNHON NE ARABI KI KHAS TRAINING MADINA MUNAWWARAH ME HASIL KI HE. WOH DAURAN E TALIM HI NADWA ME ADAB E ARABI ME IMTIYAZI MUQAM HASIL KAR LIYA THA YAHAN TAK KE MOULANA ALI MIAN SAHAB BHI UN SE KUCH IBARATEN LIKHWAYA KAR TE THEY. HAZRAT KI KITAB "ALMUSLIMOONA FIL HIND" ME BHI AAP KI KUCH IBARAT LIKHI HUI HE.
Moulana ka talluq suba UP ke Azamgarh zile se he. Ap ke walid janab moulana YASEEN SAHAB QASMI apne ilaqe k mumtaz ulema me shumar hote they. hazrat ibtadai taleem walid sahab se hasil karne k baad aala taleem k liye DARUL ULOOM NADWATUL ULEMA tashreef le gaye. wahan ilm w adab me khub mehnat ki aur ek imtiyazi shan hasil ki. us se qabl moulana ne tajwid w qirat ka ilm bhi hasil kiya. nadwa me faraghat k baad dars w tadrees me lag gaye aur sath sath TAMEER E HAYAT aur ALBAAS UL ISLAMI me bataur e muawin mudeer bhi khidmaat anjam deen. aap nadwa me isha k ustaz they. ye aapki ilmi maharat aur arabi me kamal hi tha k faraghat k baad hi nadwa jaise idare me insha jaisa mazmoon padhane ka moqa mila. aap HAZRAT MOULANA SAEEDURRAHMAN AZAMI AUR MOULANA SAYYED RABE SAHAB NADWI k khas shagird they. aur un dono buzurgon ki matahti me apne faraiz ko anjam dete they.
phir hazrat hindistan k mukhtalif madaris me tadrees ki khidmat anjam dete rahe yahan tak k ALLAH TAALA ne apko madina bulaya aur hazrat wahan taleem hasil ki. phir sharjah me unhon ne tadrees ki khidmat anjam di. lekin chunke hindustan me ulema ki zarurat aur watan ki muhabbat ne unhen majboor kia aur woh apne watan lout aye. unko JAMEA TUL HIDAYA k muhtamim MOULANA ZIAURRAHIM MUJEDDI ki darkhwast par JAMEA TUL HIDAYA maboos kiya gaya. yahan hazrat taqreeban 15 saal se tadrees ki khidmat anjam de rahe hain. aur ham LLAH ka shukr ada karte hain ki woh hamare ustaaz hain aur ham chahte hain tamam zindagi unki matahti me guzar den.
hamen bade afsos k sath kahna pad raha he k agla saal unka JAMEA TUL HIDAYA me akhri saal hoga.
hazrat ne tadrees k ilawa tasneefi khidmat bhi anjaam di. hazrat ne kai saari kitaben tasneef ki jo unke ilm aur aur tajarbe ki tarjuman hain.
unki kitben mandarja zail hain:
1. TAMBAKU AUR ISLAM; is kitab me hazrat ne tambaku ki mazammat aur uske nuqsanat ko islam ki roshni me sabit kiya he.
2. DADHI KI SHAREE HAISIYAT; is kitab me hazrat ne quran w sunnat me dadhi k wujoob ko sabit kiya he.
3. AL-ISRAF; ye kitab arabi zuban me hai. iski zubaan nahayat asaan magar nahayat faseeh w baleegh arabi hai.
4. MSNOON DUAEN; HOZOOR NABI ALAIHISSALAM ki duaon ka majmua hai jo musalmano ka bada hi aham hai.
hazrat ne apni tama kitabon me is bat ka ihtama ki hai ke koi bhi baat baghair hawala k nahi hai. hazrat ayat, ahadith aur qawal e ulema ko hawala k sath sabit kiya he. aur apne har masle ko ba hawala sabit kiya he. isiliye hazrat ki sari kitaben maraji ki haisiyat rakhti hain
hazrat ne apne gaon me ek madarsa bhi khola tha jis me muslim ladkiyon ko taleen di jati thi
hazrat ne JAMEA TUL HIDAYA ne nazdeek ek idarah JAMIA TUL ISLAH k naam se qayam kiya tha jo kuch mashguliyon aur halat ki bina par qayam na rah saka ta ham hazrat ab bhi islah k kam me lage hue hain aur mukhtalif turuq se deeni khidmat anjam de rahe hain.
ham ALLAH TAALA se dua karte hain ALLAH TAALA unka sayya bar qarar rakhe aur darain me kamyabi ata farmaye.
No comments:
Post a Comment