By: Faisal Anas
FAISAL ANAS
Exam ke din hain, final
year ka exam he, sirf ek hafta baqi he, magar phhir bhi padhai me dil nahi lag
raha he, pata nahi, q….? aj kal padhai se dil uth sa gaya he, bas dil karta he
k ab kamao, sirf kamao aur mouj masti karo, kitna padhengey….? 23 sal ka ho
gaya hun, 6 saal ki umr se padh hi raha hun, ji ukta gaya he, ab to kamana
chahiye, mouj masti karni chahiye, enjoy karna chahiye, idhar udhar ghoomna
chahiye, tehalna chahiye, khoobsoorat maqamat ki sair karni chahiye. Doston k
ghar jana chahye aur mehman nawazi ka lutf uthana chahiye, ghar par aur aas pas
k kamon me hath batana chahiye, social work me hissa lena chahiye, apni zindagi
k agle padao ki taraf qadam badhana chahiye, ab to kuch bada sochna chahiye,
akhir kya padhai.padhai…..? bor ho gaya hun itne dino se ek hi kam karte karte,
akhir kya sirf padhai hi kamyabi ka ek wahid zariya he? Kya sirf padhai se hi
insan kamyab hota he….? Padhai kya benefit deti he…? Yahi na k insan aqalmand
ho jata he, sochne samajhne wala ho jata he, zindagi guzarne ka tariqa ajata
he… lekin is k liye zaruri to nahi k khoob mehnat ki jaye, class top kar k naam
roshan kiya jaye, agar jitni mehnat padhai me karte hian, us me se adhi kamane
me bhimakane me Karen to agey k liye bahut fayda mand nahi hoga….? Khas kar
aise students ko college me hian aur final year me hian….?
Agar ham purine zamane
aur naye zamane ki padhai me farq dkhna cahen to asani se dekh sakta hain. Dono
zaman ka education system bilkul alag he, education ka matlab hi badal gaya he,
pehle sirf literature ko hi education kaha jata tha, ya phir religious articles
padhna aur usko yad karna hi education tha. Phir education ka scope badha aur
language ko isme include kiya gaya, us k baad dhire dhire dusre arts ko shamil
kiya gaya,…… jab se science ne taraqi ki he education ka scope bahut develop
hua he, education field dunya ka sab se bada field ban gaya he, aur har chiz k
liye education ko compulsory kar diya
gaya he. Aur dunya ka koi bhi jo insan apni maharat k bal par kar sakta tha,
uska course nikal kar usko official bana diya gaya he, aur yun who log jo padh
nahi sakte, aql ki kami ki wajah se , paise ki kami ki wajah se ya rural areas
me rehne ki wajah se, to apne art me mahir hone k bawajood rozi roti kamane me
muhtaj ban gaya he, aur jisko kuch na ata ho, sirf kisi college se degree lele,
to usko achi job mil jati he aur lakhon kamata he, yeh khurafat paida hui he
isi kambakht education ki wajah se.
Education ki value kya
badhi, bachon ka bachpana, jawano ki jawani aur budhon ka budhapa chhin gaya
he, bechare 1 ½ saal k hue k nahi k
school me dal diye gaye, ab subah se do pahar tak school me raho, maa baap se
door, na koi hansane wala, na khilane wala, pamper pehna k usko school bhej
diya gaya, aur uske pet se nikalta hua sara fuzla usi k pamper me jama ho raha
he, ab jab ha rata he us se zyaa wazan us k pamper se nikalta he aur jo smell
nikati he uski to baat hi alag he. Babu sahib thode aur bade hue aur 2usri ya
3isri class me gaye to school walon ne itna bada basta thama diya k eint k
bhatte pe kam karne wale mazdooron se bhi yada pasina in bechare masoomon ko
ata he, unko samajh me nahi ata ham school jate hain padhne k liye ya batsa
utha kar wazan uthane ki practice kar rahe hian….? Aur kitabon ka haal bhi
sunye, 102 page ki book, price 190 hindustani khan-khanate sikke ya kad-kadate
note. Aur kitab me sirf do char images aur 100 tak ginti, aur zyada se zyada
kutte billiyon k photo. Wah re education aur waah re tera system.
Ab bacha bada ho gaya he,
board ka exam de raha he, ab parents ka pressure h k “dekh beta pados wali k
bete ki 80% ayi thi, teri 81 aani chahiye, us se kam manzoor nahi he, agar aya
to anjam bhugatna”, pata chala k result to aya mgr bete ka pata nahi, kya hua
bahi? Are usne to suicide kar liya he, q….. q k uski 81% nahi ayi thin a. isi
iye. Yeh situation har student k sath he, lagta 10th 12th
nahi balke IAS ka exam de raha he.
Ab dhire dhire woh
graduation me agay, uar ho gayi, 22-23 years. Udhar graduation complete hone
wali he aur ghar walon ka pressure he k beta ab kamana start kar de, ghar
chalana ne, maa ki dawai ilaj ka kharcha, behn ki shadi, chhote bhai ki padhai
ka kharcha, aur tarah-2 k kharche, ab yeh kya karega isko faisla karna he,
udhar jab jawan hua he to jawani to apna rag dikhayegi hi, shadi ki fikr bhi
lag gyi he, lekin jab tak apne paon par khada nahi hota, shadi kaise hogi…..?
bechara job ki talash me jata he, company dar company bhatakta he, magar job to
usi ko milti he jiska approach hota he, jiska koi janne wala hota he, ya phi
rap 5000 ki job liye pehle 50000 agey badhayen, agar nahi he to enjoy karo, bar
me jao, ek botal kahrido aur mast talli ho jao, are bhai q…? are q kya….? 14
saal to laga diye 10th pas karne me, phir 2 sal 12th me,
phir saal graduation me. Aur koi job
nahi he, aur wahin mera padosi Dinesh, jo sirf 10th pas he, who
15000 ki job kar raha he, jab k who to mujh se kafi piche raha karta tha.
Ab tak to ap samajh
gaye hongey k is dunya k liye education k naam par jo muhim chali hui he who
hamare liye kitni dangerous he, aura b to suna he kooda uthane ki noukri bhi 10th
pas walon ko hi milegi, wah bhai waah, padh k kooda uthao, pehle sirf sunte
they, ab to dekhne ko mil raha he aur kuch door nahi k karna bho pade.
FAISAL ANAS