27 January, 2013

Mr Shinde and his Statement



Hamesha peaceful halat me rehne wala Pink City  in last few days kafi surkhion me raha , wajah thi Congress ka Chintan Shivir and in that Shivir, home minister Shushil Kumar Shinde ka bayan jisne India ki sab se badi aksariyat ko protest karne par majboor kar diya. ajib lag raha he k jinki tadaad India me sab se zyada he, jo India k taqreeban har region me aksariyat me hain, jo wazarat k har ohde par fayez hain, jo har riyasat ki CM ki kursi sambhale hue hain, aur jinke pas har tarah ki power he aj wohi apne daman ko be dag sabit karne ki koshish kar ne me lage hue hian.

What behind his statement?


     Janab Shinde ka bayan k- bahut sare bomb blaston me Bhagwa Dahshatgardi ka hath he aur yeh k un ke under campon  me terrorists ki training di jati he- se who kya sabit karna chahte hian. (1) Kya yeh ek kadwi haqiqat ka aetraf he? Q k really fasadat to hue hain aur bomb bhi blast hue hain aur importantly musalmano  ko hi target kiya   gaya he aur maze ki baat yeh he k jo mazloom they wohi mulzim bhi hue aur mujrim bhi qarar paye unhen giraftari mili aur jail bhi gaye magar baad me police walon ko sharamsar karte hue aur police k kam karne k tariqe par khilli udate hue who riha bhi hue (yeh alag baat h k tab tak unka career tabah ho chukka tha) ya fir (2) BJP ko mazeed kamzor karne ki sazish he q k next year or possibly this year Lok Sabha election hone wale hain aur zahir h k har party dusri party ko tamam corruption ks zummedar manti, to shayad Congress ka yeh harba he k is tarah se bhagwa party ko mazeed kamzor kiya jaye q k agar really Shinde ji k pas pukhta suboot hain to unhon ne abhi hi q yah baat batayi he. Pehle se batate ta k jo be gunaah log pakd ja chuke hain who na pakde jate. 

Terrorism has no religion  


Mai gaur karta hun k BJP ko hi q nishana banaya gaya? Kya is liye k RSS se iska contact he (balke RSS hi isko handle karta he), ya isliye k who dusri sab se badi political party he aur Congress ko election me kadi takkar dene ki himmat rakhti he? Ya phir isliye k woh really mujrim he. Yeh faisla to public ko hi karna he k qusoorwar koun h aur rozana news paper padhne walo aur news channels dekhne walo ko mazeed kisi evidence ki zaroorat nahi he k is matter me koun qusoorwar he, kou nahi he aur kiska ek-2 pair dono taraf he. Mera sawal yeh h k Dahshatgardi ya koi bhi i jurm kya kisi religion k sath khas he? Aur hamare mulk me har fasad, jurm, aur blast ko hamesha relogioin, tribe, language, aur colour se q jod diya jata he? Agar BJP aur RSS dahshat gardi me mulawwis he to kya pura Hindu mazhab hi dahshat gard he? Nahi, hargiz nahi, Hindu mazhab ki kisi bhi kitab me is tarah ki taleem nahi h jis se dahshat gardi ko badhawa milta ho, aur kisi bhi mazhabi kitab me aisa nahi mil sakta, to phir dahshatgardi aur Hindu mat ko ek sath q jod diya gaya? Aur Hindu mat kya, kisi bhi mazhab, rang, nasal, firqa, jamaat, zuban, ilaqa ko kisi bhi jurm se nahi joda ja sakta, han yeh zaroor h k mujrim kisi na kisi mazhab ka manne wala hoga magar is se yeh sabit nahi hota k mazhab hi iski taleem deta he. Hamari yahi badi kamzori h k ham fouran kisi bhi hadse ko mazhab ya qabile ka rang de dete hain jis se hamari unity khatam hoti he, aur hamari mulki kamzori bhi zahir hoti he.

We want 


Ham lucky hain k hamara mulk world’s largest democracy he jis me har rang, nasal, mazhab, zuban, ilaqe aur qabile se taalluq rakhne wale log rahte hin jo hamar unity aur ittihad ki pehchan he aur yahi hamari sab se badi taqat he. And Indian unity demands the punishment for guilty, for terrorist, for killires, for rapist etc chahe who kisi bhi mazhab, rang, nasal, qabile aur ilaqe se taalluq rakhte houn, yeh mat kaho k falan mazhab wale ne jurm kiya ball ke yeh kaho k falan ne jurm kiya, usko pakdo aur saza do. Aur agar ap ke pakka par suboot he k RSS aur BJP training camp chalati he to un k wahan se chale jane aur sab kuch khali kar dene se pehle hi chhapa maroa ur karrawai karo warnah faltu ki bayan bazi mat karo, aur han yeh mat sochna k ab kisi tarah ki bayan bazi se Muslim himayat mil jayegi ya tum Congress ko Muslim dost sabit kar doge aur upcoming election me vote hasil kar loge q k ab who zamana gaya jab logon ko jab log har tarah se bewaqoof ban jate they aur religion k naam siyasat bahut asan ho jati thi. ab ham educated hain aur Indian youngsters ab kisi bhi tarah ki bewaqoofi ko accept nahi karegi.
.   

FAISAL ANAS


22 January, 2013

On Akhilesh Government


FAISAL ANAS

21 January, 2013

A Heart Broken Love Letter


Agar tum kuch bhi na socho aur sirf itna socho k mai ek insan hun tab bhi tumhara farz banta h k mujhe nazar na karo. Mere jazbat ko samjho, meri mehnat ko yaad karo, mere zakhmo se rista hua khoon dekho, mere dil ki zuban se nikli hui muhabbatana wa muaqqarana sawalana, ajizana, ashiqana, mazloomana aur shoukhiyana aawaz ko suno, meri raat aur mere din ko dekho to tumhen khud hi maaloom hi jayega  k yeh DIL E WIRAN abbad hone ki kitni koshish kar raha he? Magar banjar zameen ki dekh bhaal karne wala koi naram dil insane to ho.

Insan par kabhi aisi musibat bhi  ati h jab who khuda se na farmani kar baithta he  lekin yeh uska karam he who apne bandon ko maaf bhi kar deta he to kya us khuda ki paida ki hui makhlooq  naram dil aur maaf hone wali nahi ho sakti? ……..garche mai kisi laila la majnoo banne ki himmat nahi karsakta magar kuch had tak uski acting zaroor kar sakta hun aur uska pake shadow to ban hi sakta hun.

Agar tum mujhe ek ba izzat insan tasawwur kar lo aur socho k kitne pagal, deewane, gali kuchon me pade hue, maikhane me sab o roz hazri dene wale, aur waha pade rehne wale, khudkushi karne wale, galiyan dene wale, aur abr ki tarah mast ho kar gane aur jhoomne wale aur tanha pasand hain jinki zindagi veeran ho chuki he, who be yaar o madadgar phirte rehte hain.

Apne nazuk dimag par zara sa zor dalo aur sirf itna socho k tumhari thodi si la parwahi  se agar mai bhi in mazkoorah sakhsiyaton me se ek ho gaya to kya tumhara dil gawara karega? Kya tum aisa cha ho gi k tumhari wajah se ek sahi salim insan ek bad mast majnoon ban jaye? Agar tumhari be rukhi ki wajah se ek shareef insane majnoo ban jaye to kya tumhen pasan he? ……………….aur han agar tumhari thodi si koshish, mehnat, pyar, muhabbat, rahnumai aur khuloos aur qurbani ki wajah se koi bura banne se bach jata he to kya tum aisa karne k liye tayyar ho? Kya tum qurbani dene k liye tayyar ho? ……..yeh bhi soch lena k muhabbat to kisi se kar ni hi he to phir mujh se q nahi? Aur waise bhi mai un logon me se nahi hun jo…..

Dosti  kar to lete hain  nibhana  bhul jate hain

Dilon me aag lagate hainbujhana bhul jate hain

Ab agey qalam qasir he k kuch aur chale, lihaza is ummid pe khatam karta hun k ab ma'yusi hath nahi ayegi, aur khat aur khat wale ko seene se lagaya jayega aur dil k sab se pak aur saaf kamre me sulaya jayega………………………….faqat

FAISAL ANAS

10 January, 2013

CHILCHILATI SARDI...........!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!



Chilchilati Sardi..!!!!!
6 January aur India Pakistan ka high voltage match…. Na na na na mai match k bare me kuch nahi bata rahun. Mai yeh keh raha hun k mai match dekh raha tha, are lekin match to bahut sare log dekh rahe they…. Are baba suno to, itni jaldi ukta q jate ho..? han to mai yeh keh raha tha mai India Pakistan ka match dekh raha tha. Na na na stadium me nahi. TV  par.  Fir mai ne ek news channel lagaya,   ( pata nahi koun sa channel tha… ) us me ek ladki reporting kar rahi thi. Topic tha Delhi ki CHILCHILATI SARDI, are bhai hansne q lage? Kya kaha? Mujhe urdu nahi ati? Are mai to urdu kayi hazlen aur nazmen likh chu ka hun aur fir mai articles bhi likhta hun. Oh ho to aap CHILCHILATI SARDI par hans rahe hain…? Are bhai jaan yeh phrase mera nahi bal k us lady reporter ka tha. Maine jaise suna k “DELHI KI IS SCHILCHILATI THAND ME NE LOGON KA JEENA MUSHKIL KAR DIYA HE AUR…………..” mai shock me agaya! Khudaya yeh madam koun si language bol rahi he? Are yeh to Urdu Hindi mix he  magar CHILCHILATI THAND??? Yeh kis language ka phrase he? Urdu ka……?  nahi  to…! Hindi ka……?  Na… Hindi ka bhi nahi he…! Phir….? Mujhe kya maloom, mai to usi madam reporter se puch leta agar mere bas me hota ho,, are bhai q nahi…? Meri vocublary me izafa ho to hota na….?

A Serious Issue

  Let’s come and think seriously at this topic. Ham jante hian k hamare samaj me language ki kitni zyada value he jab bacha thoda hoshiyar hota he to first of all ham use bolna sikhate hain ta k agey chal kar who acha bol sake, aur who jab kuch bolta he hame khushi hoti he. Thoda aur bada hota he aur 7th ya 8th me jata he to ham use English coaching kar wate hain aur speaking class me bhejte hain ta k agey chal kar usko problem na ho but what we do for our mother tongue..? akhir hamari language bhi to koi importamce rakhti he na? Hamari Urdu jo k Indian History aur India Freedom Fight me ek chapter and milestone ki haisiyat rakhti he. Harami Hindi language jo aj world level pe boli aur samjhi jati he. Kya hame zaroorat nahi h ham apni in bhashaon ko sudharen? Ham English ki tarah inko bhi seekhen?  

English Ka Bukhar

Aj kal logon ko English ka bukhar chadha hua he. Har koi isi language k peeche bhag raha he. Har company usi to preference deti he jisko Angrezi bahut achi aati he aur afsos to tab ata he jab india local companies bhi aisa hi karti hain, har school me English medium me padhna acha mana jata he. English medium schools ki fees zyada hoti he. Par Q????? kya hamara guzara English k bagair nahi chal sakta? Kya ham apni baat kehne me Angrezi k muhtaj hain?? Kya hamare nazdeek hamari madri zubaan ki koi value nahi he? Hamen sochna hoga aur khhob sochna hoga k ham kis qadar apni language ki bhula chuke hain aur Angrezi kis tarah ham par ghalib ati jarhi he. 

Our Language Is Our Culture

We must not forget that our language is our culture. Maine bahut sari books me padha he aur bahut sare scholors k munh se suna h ke jo apni language ko avoid karne lagta he uska culture, tradition and history sab kuch bhula di jati he aur yahi ha reality bhi he. Agar ham apni language ko prefer karengey ko us se hamara hi fayda hoga aur hamare culture, tradition aur hamare desh ka fayda hoga.

Let’s Come To the Point

Han to mai CHILCHILATI SARDI ki baat kar raha tha. English ham itni zyada havi ho chuki h ke ham apni madri bhasha tak sahi se nahi bol pate hain, dekhye na k lady reporter ne CHILCHILATI SARDI kaha he. Yeh kahan tak theek he..? are bhai totally wrong he. CHILCHILATI DHOOP aur KADAKE KI THAND/SARDI. Han ab sahi he. Bilkul right he. Ta’ajjub tab bahut zyada hota he jab National News cjannel ki reporter is tarah k phrase use karti he, jab k unko achi training di jati he, are bhai training bolne ki hi na… k speed bolo aur theek bolo. Han speed to who bolte hain magar theek bolna bhi o zaruri he na…. warna hamare political leader ki tarah k jo chahe bbol diya. Phir baad me maafi mangte firte hain k mera matlab who nahi tha. Are bhai to hamesha soch kar bola karo na.. bol kar q sochte ho k maine galat bol diya.
Anyway, mai CHILCHILATI SARDI wali madam se request karta hun k madan plz Urdu seekho, mujh se nahi kisi well known teacher se,  aur zara right phrase use kiya karo. Who kya he na k HAM INDIA KI PUBLIC AB EDUCATED HO CHUKE HAIN AB NA TO KISI K BAHKAWE ME ATE HAIN AUR NA HI KISI KO GALAT BOLNE DETE HAIN AUR NA HI KISI KO GHALAT KARNE DETE HAIN.
FAISAL ANAS