21 January, 2013

A Heart Broken Love Letter


Agar tum kuch bhi na socho aur sirf itna socho k mai ek insan hun tab bhi tumhara farz banta h k mujhe nazar na karo. Mere jazbat ko samjho, meri mehnat ko yaad karo, mere zakhmo se rista hua khoon dekho, mere dil ki zuban se nikli hui muhabbatana wa muaqqarana sawalana, ajizana, ashiqana, mazloomana aur shoukhiyana aawaz ko suno, meri raat aur mere din ko dekho to tumhen khud hi maaloom hi jayega  k yeh DIL E WIRAN abbad hone ki kitni koshish kar raha he? Magar banjar zameen ki dekh bhaal karne wala koi naram dil insane to ho.

Insan par kabhi aisi musibat bhi  ati h jab who khuda se na farmani kar baithta he  lekin yeh uska karam he who apne bandon ko maaf bhi kar deta he to kya us khuda ki paida ki hui makhlooq  naram dil aur maaf hone wali nahi ho sakti? ……..garche mai kisi laila la majnoo banne ki himmat nahi karsakta magar kuch had tak uski acting zaroor kar sakta hun aur uska pake shadow to ban hi sakta hun.

Agar tum mujhe ek ba izzat insan tasawwur kar lo aur socho k kitne pagal, deewane, gali kuchon me pade hue, maikhane me sab o roz hazri dene wale, aur waha pade rehne wale, khudkushi karne wale, galiyan dene wale, aur abr ki tarah mast ho kar gane aur jhoomne wale aur tanha pasand hain jinki zindagi veeran ho chuki he, who be yaar o madadgar phirte rehte hain.

Apne nazuk dimag par zara sa zor dalo aur sirf itna socho k tumhari thodi si la parwahi  se agar mai bhi in mazkoorah sakhsiyaton me se ek ho gaya to kya tumhara dil gawara karega? Kya tum aisa cha ho gi k tumhari wajah se ek sahi salim insan ek bad mast majnoon ban jaye? Agar tumhari be rukhi ki wajah se ek shareef insane majnoo ban jaye to kya tumhen pasan he? ……………….aur han agar tumhari thodi si koshish, mehnat, pyar, muhabbat, rahnumai aur khuloos aur qurbani ki wajah se koi bura banne se bach jata he to kya tum aisa karne k liye tayyar ho? Kya tum qurbani dene k liye tayyar ho? ……..yeh bhi soch lena k muhabbat to kisi se kar ni hi he to phir mujh se q nahi? Aur waise bhi mai un logon me se nahi hun jo…..

Dosti  kar to lete hain  nibhana  bhul jate hain

Dilon me aag lagate hainbujhana bhul jate hain

Ab agey qalam qasir he k kuch aur chale, lihaza is ummid pe khatam karta hun k ab ma'yusi hath nahi ayegi, aur khat aur khat wale ko seene se lagaya jayega aur dil k sab se pak aur saaf kamre me sulaya jayega………………………….faqat

FAISAL ANAS

No comments: