10 January, 2013

CHILCHILATI SARDI...........!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!



Chilchilati Sardi..!!!!!
6 January aur India Pakistan ka high voltage match…. Na na na na mai match k bare me kuch nahi bata rahun. Mai yeh keh raha hun k mai match dekh raha tha, are lekin match to bahut sare log dekh rahe they…. Are baba suno to, itni jaldi ukta q jate ho..? han to mai yeh keh raha tha mai India Pakistan ka match dekh raha tha. Na na na stadium me nahi. TV  par.  Fir mai ne ek news channel lagaya,   ( pata nahi koun sa channel tha… ) us me ek ladki reporting kar rahi thi. Topic tha Delhi ki CHILCHILATI SARDI, are bhai hansne q lage? Kya kaha? Mujhe urdu nahi ati? Are mai to urdu kayi hazlen aur nazmen likh chu ka hun aur fir mai articles bhi likhta hun. Oh ho to aap CHILCHILATI SARDI par hans rahe hain…? Are bhai jaan yeh phrase mera nahi bal k us lady reporter ka tha. Maine jaise suna k “DELHI KI IS SCHILCHILATI THAND ME NE LOGON KA JEENA MUSHKIL KAR DIYA HE AUR…………..” mai shock me agaya! Khudaya yeh madam koun si language bol rahi he? Are yeh to Urdu Hindi mix he  magar CHILCHILATI THAND??? Yeh kis language ka phrase he? Urdu ka……?  nahi  to…! Hindi ka……?  Na… Hindi ka bhi nahi he…! Phir….? Mujhe kya maloom, mai to usi madam reporter se puch leta agar mere bas me hota ho,, are bhai q nahi…? Meri vocublary me izafa ho to hota na….?

A Serious Issue

  Let’s come and think seriously at this topic. Ham jante hian k hamare samaj me language ki kitni zyada value he jab bacha thoda hoshiyar hota he to first of all ham use bolna sikhate hain ta k agey chal kar who acha bol sake, aur who jab kuch bolta he hame khushi hoti he. Thoda aur bada hota he aur 7th ya 8th me jata he to ham use English coaching kar wate hain aur speaking class me bhejte hain ta k agey chal kar usko problem na ho but what we do for our mother tongue..? akhir hamari language bhi to koi importamce rakhti he na? Hamari Urdu jo k Indian History aur India Freedom Fight me ek chapter and milestone ki haisiyat rakhti he. Harami Hindi language jo aj world level pe boli aur samjhi jati he. Kya hame zaroorat nahi h ham apni in bhashaon ko sudharen? Ham English ki tarah inko bhi seekhen?  

English Ka Bukhar

Aj kal logon ko English ka bukhar chadha hua he. Har koi isi language k peeche bhag raha he. Har company usi to preference deti he jisko Angrezi bahut achi aati he aur afsos to tab ata he jab india local companies bhi aisa hi karti hain, har school me English medium me padhna acha mana jata he. English medium schools ki fees zyada hoti he. Par Q????? kya hamara guzara English k bagair nahi chal sakta? Kya ham apni baat kehne me Angrezi k muhtaj hain?? Kya hamare nazdeek hamari madri zubaan ki koi value nahi he? Hamen sochna hoga aur khhob sochna hoga k ham kis qadar apni language ki bhula chuke hain aur Angrezi kis tarah ham par ghalib ati jarhi he. 

Our Language Is Our Culture

We must not forget that our language is our culture. Maine bahut sari books me padha he aur bahut sare scholors k munh se suna h ke jo apni language ko avoid karne lagta he uska culture, tradition and history sab kuch bhula di jati he aur yahi ha reality bhi he. Agar ham apni language ko prefer karengey ko us se hamara hi fayda hoga aur hamare culture, tradition aur hamare desh ka fayda hoga.

Let’s Come To the Point

Han to mai CHILCHILATI SARDI ki baat kar raha tha. English ham itni zyada havi ho chuki h ke ham apni madri bhasha tak sahi se nahi bol pate hain, dekhye na k lady reporter ne CHILCHILATI SARDI kaha he. Yeh kahan tak theek he..? are bhai totally wrong he. CHILCHILATI DHOOP aur KADAKE KI THAND/SARDI. Han ab sahi he. Bilkul right he. Ta’ajjub tab bahut zyada hota he jab National News cjannel ki reporter is tarah k phrase use karti he, jab k unko achi training di jati he, are bhai training bolne ki hi na… k speed bolo aur theek bolo. Han speed to who bolte hain magar theek bolna bhi o zaruri he na…. warna hamare political leader ki tarah k jo chahe bbol diya. Phir baad me maafi mangte firte hain k mera matlab who nahi tha. Are bhai to hamesha soch kar bola karo na.. bol kar q sochte ho k maine galat bol diya.
Anyway, mai CHILCHILATI SARDI wali madam se request karta hun k madan plz Urdu seekho, mujh se nahi kisi well known teacher se,  aur zara right phrase use kiya karo. Who kya he na k HAM INDIA KI PUBLIC AB EDUCATED HO CHUKE HAIN AB NA TO KISI K BAHKAWE ME ATE HAIN AUR NA HI KISI KO GALAT BOLNE DETE HAIN AUR NA HI KISI KO GHALAT KARNE DETE HAIN.
FAISAL ANAS

No comments: