09 December, 2012

Hamare Noujawan Hamari Milkiyat


(Note: Ham me se har ek english nahi janta he, aur har ek urdu ya hindi font bhi theek se nahi padh pata he. kuch log hain jo English k mahir hote hain aur kuch hain jo Urdu k font padh lete hain, isliye maine socha k q na is blog ko English font me Urdu aur Hindi zubaan me likah jaye ta k jo sirf English font hi padh pate hain aur English language me unko problem ati he, woh bhi articles padh saken
Meri yeh starting apko kaisi lagi. zaroor batayega, yahan comment kar k bhi aur mujhe mail kar k bhi.
thanks)

Hamare Noujawan Hamari Milkiyat

Hindustan k pas naujawano ki zabardast tadaad he, aur yeh ek aisi milkiyat he jis k zariye hindustan dunya me koi bhi muqam hasil kar sakta aur mazeed bar aan yeh k hindustan me hunar ki bhi kami nahi he aur mazeed yeh k hindustani naujawan mehnati bhi hote hain, to phir unko sahuliyat aur mawaqe ki zarurat he, agar unko apne andar  k hunar ko farogh dene ka moqa aur munasib sahulat mil gayi to hindustan ko ek zabardast kamyabi hasil hogi kyon k hindustani art, aur hunar ki dunya me zabardast maang he. yahi wajah he k ghir mulki comanies hindustan ka rukh kar rahi hen ta k yahan k noujawano se woh kaam le saken jo khud yahan ki sar kar nahi le pa rahi hen aur jo k taraqqi ka bahut zariya he.
 Is bat ki behad zarurat he k yahan k mulazimeen ko mukhtalif tarah k tajurbat se guzara jaye aur alag alag mahaul me kaam kar ne ka moqa mile ta k unki salahiyat me nikhar aja ye aur behtar dhang se kaam kar ne me mazeed madad mile. government tarah tarah ki iskime start kare. mukhtalif hunar ko sikhane k camp lagaye, aur un hi sikhe hue afrad ko companies me kaam karne ko bheja jaye, aur yeh dhiyan rakhna bahut zaruri he k hamare naujawan hamare mulk k liye aur hamare mulk ki companies k liye to zyada behtar hoga hamare liye aur hamare desh ki taraqqi k liye. warna gair mulki log shuru se hi hamara fayda utha te aa rahe hain aur ham apne hi mulk me, apni hi zameen par, apni hi kamayi unko sonp dete hain, pehle woh zabaradati le te they aur ab chalaki se lete hain.

FAISAL ANAS

No comments: