18 September, 2011

tadap

qurbani
phir wohi yaden
phir wohi maouj masti wale din
wohi hanste khelte chehre
wohi roz der se uthne par dant sunna
der se sone par dant sunna
hi re.. kahan gaye woh din
bahut yaad ate hain
apna shahar, mohalla, apne log aur unka pyar
sab chhoot gaya
ek virane aur begane shahar me
jahan koi apna nahi
koi puchhne wala nahi
par kya karen majboori he
rehna pata he
qurbani deni padti he
q k
qurbani dene k baad hi sab kuch hasil ho ta he
mai bhi qurbani dunga
acha khane ki
meethi neend ki
naram bistar ki
aur mouj masti ki




MOHD FAISAL ANAS

No comments: