26 August, 2011

MONTH OF RAMAZAN

ALLAH TAALA NE JO RAMDHAN KA MAHINA HAME ATA FARMAYA HE YE HAMARI KARAMAT KI WAJAH SE. KISI AUR UMMAT KO YE MAHINA NAHI ATA KIYA GAYA. IS MAHINE KI FAZILAT BAHUT ZYADA HE. QURAN MAJEED KI 1 AYAT HI ISKI FAZILAT KO SAMAJHNE K LIYE KAFI HE. QURAN KAHTA HE "شہر رمضا ن الذی انزل فیہ القرآن" YANI RAMZAN K MAHINE ME QURAN NAZIL KIYA GAYA. MATLAB YEH HE K PEHLE QURAN MAJEED لوح محفوظ (louh e mahfooz) me tha, wahan se ramzan k mahine me shab e qadr ko utara gaya isko انا انزلناہ فی لیلۃ القدر farmaya. phir hasb e zarurat thoda-2 zameen par utara gaya aur is tarah pura quran majeed 23 saal ki taweel muddat nazil hua. chun k quran majeed ko ramdhan se khas lagao he isliye 1 ka zikr ane par dusre ka khud ba khud ahata he.
hadith me is mahine ki aur bhi fazilat warid hui he. ek hadith me he k HUZUR صلی اللہ علیہ و سلم ne hazrat جبر؛یل ki us bad dua par ameen kahi he k halak ho o shakhs jo ramzan ka mahina paye aur uski bakhshish na ho. iska matlab ye he k ramzan ka mahina sarapa bakhshish ka mahina he, bas zarurat he thoda sa amal karne ki. ek aur hadith me he k HUZHR صلی اللہ علیہ و سلم ramzan k mahine me ibadat ki kasrat kar diya karte the. nawafil zayada padha karte the. aur iska hukm bhi dete the. taraveeh ka ihtimam karte the. aur namoos e akbar k sath قرآن کریم ka daur kiya karte the. akhri das din اعتکاف kar ne ka mamool tha.ek hadith me he ramzan me shaytan qaid kar diya jata he. jannat k darwaze khol diye jate hain. jahannum k darwaze band kar diye jate hain. iski har raat ko beshumar logon ko jahannum se azad kiya jata he.
isi mahine me اللہ عزوجل ne roze ko farz kiya. قرآن کریم me irshad farmaya "یا ایہا الذین آمنوا کتب علیکم الصیام کما کتب علی الذین من قبلکم لعلکم تتقون'' pure mahine ka roza farz qarar diya har aqil baligh  musalman ko. iska rakhna zaruri he jaise k namaz ka parhna zaruri he. 

MOHD FAISAL ANAS

No comments: